Yah blog main unn logon ke liye likh rha hu jo Canada aane ki soch rahe hain par uljhan me hain ki kis province (province in Canada is just like states in India) me aayen taaki unko jaada se jaada aasaani ho paisa kamaane me aur zindagi bitaane me.
Sabse pahle main aapko Canada ke alag alag province ke minimum wage (1 ghante me kam se kam kitna Canadian$ milega) bata deta hun.
Canada me total 13 province hain. Sabke minimum wage yah hain:
Alberta: C$15 ~ ₹800/Hr
British Columbia: C$13.85 ~ ₹750/Hr
Manitoba: C$11.65 ~ ₹630/Hr
New Brunswick: C$11.70 ~ ₹635/Hr
Newfoundland & Labrador: C$11.65 ~ ₹630/Hr
Northwest Territories: C$13.46 ~ ₹730/Hr
Nova Scotia: C$12.55 ~ ₹680/Hr
Nunavut: C$13 ~ ₹700/Hr
Ontario: C$14 ~ 760/Hr
Prince Edward Island: C$12.85 ~ 700/Hr
Quebec: C$12.50 ~ ₹680/Hr
Saskatchewan: C$11.32 ~ ₹610/Hr
Yukon: C$13.71 ~ ₹740
Kisi bhe province ko final krne se se phle aaplog iss cheez ka zaroor dhyaan rakhen ki jaha minimum wage zada hai waha mahangaai bhi zada hoti hai, to aap saari jagah ek jaisa amount hi save kr paaenge.
Main to aapko kahunga ki jo province abhi developing hain waha jaaen. Wahan aapko grow krne ki opportunity zada milegi. Bhale hi aapko apne community ke log na mile pr waha aap kabhi bhi jobless nhi rahenge.
Agar aap apne community ke paas rahenge to aapko competition bhi zada face karna padega.
Aap iss blog ke baare me kya sochte hain neeche comment kr ke zaroor bataaen.